Dosto k mehfil mein aap jaisa sitara na socha tha ae dostDosto k mehfil mein aap jaisa sitara na socha tha ae dostPar ab mehsoos hota h ye dosti sar chadh kar bolegi..
Naam ki kya baat kartey hoNaam ki kya baat kartey ho, log chehrey tak bhul jate hainTum samundar ki baat karte hoDubne wale to aankho mein bhi doob jate hain.hai dost..
Main To Jhonka Hun:Main to jhonka hunMain to jhonka hun hawa ka uda le jaungaJaagti rehna tujhe tujhse chura le jaungaHo ke kadmon pe nicchawar phool ne but se kahaKhak mein mil ke bhi mein khushboo bacha le jaungaKaun si shay mujhko pahunchayegi tere shehar takYeh pata to tab chalega jab pata le jaungaKoshishein mujhko mitaane ki bhale ho kamyaabMit-te mit-te bhi main mitne ka maza le jaungaShoharatein jinki wajah se dost dushman ho gayeSab yeh reh jaayengi main saath kya le jaunga
Aisa Lagta HaiAisa lagta haAisa lagta hai zindagi tum hoAjnabi jaise ajnabi tum hoAb koi aarzoo nahi bakiJust-ju meri aakhiri tum hoMain zameen par ghana andhera hunAasmano kee chandni tum hoDoston se wafa kee ummeedeinKis zamane ke aadmi tum ho
Ye Kab Kaha ThaYe kab kaha thYe kab kaha tha nazaron se khauf aata haiMujhe to chaand sitaaron se khauf aata haiMain dushmanon ke kisi vaar se nahi dartaMujhe to apne hi yaaron se khauf aata haiKhiza ka jabar to seene pe rok lete hainHumein udaas baharon se khauf aata haiMile hain dosto besakhiyon se gham itneMere badan ko saharon se khauf aata haiMain iltifaat kee khandaq se door rehta hunTalluqaat ke gaaron se khauf aata hai
Mil Bhi Jaate Hain TohMil bhi jaate hain toMil bhi jate hain toh katara ke nikal jaate hainHaye mausam kee tarah dost badal jaate hainHum abhi tak hain giraftar-e-mohabbat yaaroThokarein kha ke suna tha ki sambhal jaate hainYe kabhi apni jafa par na hua sharmindaHum samajhate rahe patthar bhi pighal jaate hainUmar bhar jin kee wafaon pe bharosa kijeWaqt padane pe wohi log badal jaate hain